Kitab Sada Rahegi Kab Tak
Kabhi To Aghaz-e-Baab Hoga
Jinhon Ne Basti UjaaR Dali
Kabhi To Unka Hisab Hoga
Seher Ki khushiyan Manane Walo
Seher k TewAR Bata Rahe Hain
Abhi to Itni Ghutan Barhegi
K Sans Lena Azaab Hoga
Wo Din Gaye Jab Her Sitam ko
Ada-e-Mehboob Keh k Chup The
Uthe Gi Hum Per Jo Eent Koi
To PatthaR Uska Jawab Hoga
Sukoon-e-Sehra Me Basne Walo
Zara Ruton ka Mizaj Samjho
Jo Aaj Ka Din Sukoon Se Guzra
To kal Ka Mousam Kharab Ho ga.....!!!!!!
Nyc
ReplyDeleteشکریہ
ReplyDeleteMashallah
ReplyDeleteIrshad
Nhi ha ye sirf shayri Ghazal main tareekh-e-Be hisi Ha..
ReplyDeleteJo Aj shairon main keh dia Wo kal shareek-e-Nisaab Hoga..
Ye misra chor dia